Ya Nabi Aapka Lyrics (Kalaam-E Shaikhe Azam)

 


Ya Nabi aapka jis waqt ishara hoga
Phir yaqeenan hame taiba ka najara hoga

Maut to is liye lagti hai bhali hamko bahut
ba'd marne ke to didar tumhara hoga

Unka kehla te huwe phir bhi sahoon ranjo walam
Kab yeh Sarkar-e madina ko gawara hoga

Mai hoon muhtaaz karam tujh se hai faijane karam
Ab kahaan tere siwa mera gujara hoga

Jab muqaddar se madine me pohonchna hoga
Phir to azmat peh bulandi ka sitara hoga

Mai gulam ibne gulam ibne gulame Ashraf
yehi rishta meri bakhshish ka sahara hoga

Ek Izhar hi kya uski tali hai mushkil
Jisne Sarkar-e madina ko pukara hoga

★Izhar-E Aqidat★
Shaikhe Azam Hazrat Syed Izhar Ashraf Ashrafi Jilani (Rh.)

No comments

Thanks for comment

Powered by Blogger.