Dard-e ulfat na ho phir to khuch bhi nhi (Kalaam-E Shaikhe Azam)

 


Dard-e ulfat na ho phir to khuch bhi nhi
Unki qurbat na ho phir to khuch bhi nhi

Yaad karna wazeefa mera ban gaya
Aisi a'dat na ho phir to khuch bhi nhi

Jab karam unka har haal me ho gaya
Aisi qismat na ho phir to khuch bhi nhi

Dekh leta hoon unka jamale haseen
Yeh ziyarat na ho phir to khuch bhi nhi

Gam ke maroon ko aisa nibha te rahe
Aisi rahmat na ho phir to khuch bhi nhi

Bilyaqin ma'rifat unki mil jayegi
Gar baseerat na ho phir to khuch bhi nhi

Ishq me khud ko jis ne fana kar diya
Shaan-e himmat na ho phir to khuch bhi nhi

Dostoon ko samajhna bhi asaan nhi
Fazle qudrat na ho phir to khuch bhi nhi

Naam lene se Izhar kiya faida
Dil me azmat na ho phir to khuch bhi nhi



★Izhar-E Aqidat★
Shaikhe Azam Hazrat Syed Izhar Ashraf Ashrafi Jilani (Rh.)

No comments

Thanks for comment

Powered by Blogger.